Wednesday, 11 January 2017

Namaz Aur uske Padhne Ke Faide.

1- Namaz Muhammad (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) ki ankho ki thandak hai…. (Hum khud gawr kare ki hum Muhammad (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) se mohabaat ka daawa karte hain, to kya is baat par amal karte hain).
2- Dahine Haath mai amaalnama (result) milega… (Jisko Allah marne ke baad right hand mein result dega wo duniya ke exam main pass ho gaya aur jisko left hand mein diya jaayega wo fail ho gaya).
3- Rizq ki tangi ko door karti hai…. ( Namazi ko rizq roti,kapda,makaan,sawaari Allah khoob deta hai, aur usme barkat bhi deta hai).
4- Pulsaraat pe bijli ki tarah paar ho jata hai… (Pusaraat ek pul hai jis par se har insaan ko marne ke baad guzarna hai, ye pul baal se zyada baarik aur talwar ki dhaar se zyada tez hai, gunahgar log is par chal nahi sakege aur kat-kat kar neeche girege, niche dozakh hogi, ayese main namazi us pul se bijli ki tarah guzar jaayega)
5- Qabar ke azaab se hifaazat karti hai… (Agar duniya mein kisi ne gunah kiye hain to usko qabar main hi azab shuru ho jaata hai lekin agar ayesa insan namazi thha to Namaz uski hifazat kabar main karti hai).
6- Allah ki raza ka sabab hai…. (Namaz Allah ka hukm hai, isliye jo isko padhta hai, Allah usse raazi aur khush hota hai, Ab sochiye agar Allah raazi ho jaaye to phir kis cheez ki kami hogi).
7- Shaitan ka muuh Kaala karti hai…. (Shaitan, insaan ka dushman hai aur usko barbaad karne ke liye namaz se rokta hai, uske dil main waswase daalta hai lekin jo insaan Namaz padh leta hai to Shaitan ka muuh kaala ho jata hai.
8- NAMAZ Momin ka Noor hai…. (Akhirat main jab log ikattha kiye jayege to bahut andhera hoga, lekin logo ko utna noor (light) di jaayegi jitna unhone duniya main acche kaam kiye hoge, Ayese main duniya main padhi hui namaz insaan ke liye waha noor/roshni hogi.
9- Jaisa sir ka darja jism mai hai waisa namaz ka darja deen mai hai (yaani saari ibadato main namaz sabse upar hai)
10- Jannat ki kunji (Key) hai…
11- ALLAH se Maangne ka zariya hai….. (yaani agar insaan par koi pareshani musibat aye to sabse pehle Allah ke saamne namaz ke liye khada ho jaaye aur phir usse dua kare. Hazrat Muhammad (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) par bhi koi musibat-pareshani ati thi to namaz padhte thhe. Sahaba (radi Allahu anhu) ka bhi yahi tarika thha. Ek baar koi sahabi safar main thhe, unka ghoda mar gaya, safar lamba thha, un sahabi ne 2 rakat namaz padhi aur Allah se dua ki ke Allah is ghode ko zindar kar de aur Allah ne us ghode ko zinda kar diya. Aur bhi kai wakiya hain jaha Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne aur sahba (radi Allahu anhu) ne namaz ke zariye Allah se madad li hai.

IMPORTANT

Bhaiyo-bahno ye to kuch faide likhe hain, iske alawa bhi aur kai faide hain. Namaz padhne se Allah duniya main bhi kaamyabi deta hai, aur akherat mai bhi dega.
Kai baar aisa lagta hai ke humko namaz padhne ka time nahi hai kyonki hum hamare school/college/tuetion/ job/business… main busy rahte hain, lekin ek baat ye dhayan rakhey ki hum duniya main ye sab kaam karne nahi aaye balki Allah ki ibadat aur nabi (sallallahu alyhiwasallam) ke tarike par chalne ke liye duniya main bheje gaye hain, Isliye baaki kaam bhi kare lekin namaz ko na chhode.
Namaz se mat kaho ki mujhe kaam hai balki kaam se kaho ki mujhe namaz padhna hai.
To bhaiyo-bahno irada kar lo ki aaj se ek bhi time ki namaz nahi chhutegi – InshaAllah!!

No comments:

Post a Comment